حضرت نظام الدین اولیاء کی سماع کی محفل
Hazrat Mehboob e Elahi ne ek jagah khema (tent) lagwa kar qawwaali ki majlis ka ahtemaam kiya, Aap par samaa ka suroor taari tha ke achanak badshah ke Qazi Ziauddin apne larkon aur kuch hathiyarband sipahiyon ke saath waha aaye aur cheekh kar kaha ke qawwali band karo, Sultan ne hukm diya hai ke talwaar ke zor se ye khilaafe shariyat kaam ko roka jaye. Mehboob e Elahi ne is hukm ki taraf koi tawajjo nahi di phir sipahiyon ne talwaarein khench li tab bhi Aap ne qawwali nahi rukwayee tab qazi saheb ne teesra hukm diya tab bhi koi asar na huwa to qazi saheb ke larkon ne Aap ko fahash gaaliyan deni shuru kar di aur sipahi talwaaron se khemey ki saari rassiyan kaatne lagey, phir bhi Mehboob e Elahi nihayat sukoon aur itminaan ke sath qawwali suntey rahey jab sipahi saari rassiyan kaat chukey to unhoney dekha ke khema baghair rassiyon ke bhi qayam hai aur wo nahi gira.
SubhnanAllah.
Ye manzar dekhkar qazi saheb ne phir cheekh kar kaha ke, "Maulana Nizamuddin tum mujhey apni karamat dikhatey ho, mai jaanta hoon ke tum KHUDA ke ek maqbool bandey ho lekin is waqt tum ek gunaah kar rahey ho" .
Hazrat Nizamuddin Aulia (R.A) ne jawaab mai farmaya ke, "Maine koi karamat nahi dikhayee. Mai is qawwali ke zariye apne sathiyon ke saath KHUDA ko yaad kar raha hoon KHUDA ne hi baghair rassiyon ke is khemey ko qayam kar rakha hai. Meri karamat ka is mai koi dakhal nahi. "Ye jawaab sunkar qazi ziaudin aur saarey sipahi wapas laut gaye.
Doosrey din ye maloom huwa ke qazi saheb ke dono betey, jinhoney mehfiley samaa mai Mehboob e Elahi ko fahash gaalian di thi aur khemey ki rassiyan kaati thi, ghar jaatey hi ek jaan lewa bimaari mai mubtila hokar mar gaye aur qazi saheb ko bhi wahi bimaari ho gayee aur palang se lag gaye, Mehboob e Elahi apne kuch mureedon ke saath qazi saheb ki ayaadat ke liye tashreef le gaye qazi saheb ko khabar hui to unhoney apne naukar se kaha ke mera amaama kamrey ke darwazey se lekar meri palang tak bichha do aur Sultanul Mashaikh Hazrat Khwaja Nizamuddin Aulia Mehboob e Elahi se arz karna ke Aap isi amaame par paon rakh kar andar tashreef laaye lekin Mehboob e Elahi ne aisa nahi kiya aur kaha ye shariyat ka amaama hai, Mai is par paon nahi rakh sakta aur jab Aap wapas laut rahey the to raastey mai hi khabar aayee ke qazi saheb ka inteqaal ho gaya.
Hazrat Nizamuddin Aulia (R.A)
Comments
Post a Comment